ہفتہ، 15 اگست، 2015

Zeeshan Hashmi ki ghazal

hain bahut majboor aur laachaar ab bhi desh mein
aap kaise kah rahe hain koi fariyadi nahi
yaum azadi pe yeh ehsas phir hone laga
desh to azad hai par hamko azadi nahi
chheen kar muflis ki roti kha rahe hain rahnuma
ye taraqqi hai batao??kya ye barbadi nahi??
nafraton ki aag se weeran hai sara chaman
phool khilte hon jahan par koi bhi wadi nahi
kah rahe hain log saare aaj ham azad hain
aur main sau baar kahta hoon ye azadi nahi
zeeshan hashmi

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں